Mata-o-mal Na De Daulat-e-tabahi De
mata-o-mal na de daulat-e-tabahi de
mujhe bhi mumlikat-e-gham ki baadshahi de
khaDa hua hun main dast-e-talab daraaz kiye
na mere sar ko yun ilzam-e-kaj-kulahi de
main apne aap ko kis tarah sangsar karun
mere KHilaf mera dil agar gawahi de
main Thahre pani ki manind qaid hun KHud mein
koi nasheb ki jaanib mujhe baha hi de
mere dinon ko jawan jism ka ujala de
meri shabon ko ghani zulf ki siyahi de
kabhi to lazzat-e-kaam-o-dahan do-baala kar
hum aise faqa-kashon ko bhi murgh-o-mahi de
har ek daur ke suqraat ka ye wirsa hai
mujhe bhi la meri zahrab ki surahi de
(761) Peoples Rate This