Bais-e-arz-e-hunar Karb-e-nihani Nikla
bais-e-arz-e-hunar karb-e-nihani nikla
lafz hi mamba-e-dariya-e-maani nikla
sab ke honTon ko chhua abr-e-rawan ne lekin
mere hisse ka na dariyaon mein pani nikla
kaun hota hai sharik-e-safar-e-tanhai
mera saya hi mera dushman-e-jaani nikla
zindagi jis ke tasawwur mein basar ki hum ne
hae wo shaKHs haqiqat mein kahani nikla
jis ke sine mein bhi 'shadab' utar kar dekha
taKHta-e-mashq-e-sitam hae girani nikla
(788) Peoples Rate This