Asar Meri Zaban Mein Nahin Raha
asar meri zaban mein nahin raha
wo tir ab kaman mein nahin raha
hai pattharon ka qarz us ke dosh par
jo kanch ke makan mein nahin raha
alaw sard ho gae hayat ke
rachao dastan mein nahin raha
tha jis pe meri zindagi ka inhisar
usi ka nam dhyan mein nahin raha
guman hi asasa tha yaqin ka
yaqin hi guman mein nahin raha
hua jo sahl us ke ghar ka rasta
maza hi kuchh takan mein nahin raha
na ki kabhi bhi fikr main ne sud ki
kabhi bhi main ziyan mein nahin raha
wo kho gaya ghubar-e-gard-e-rah mein
jo shaKHs imtihan mein nahin raha
KHamoshiyon ne bhar diya KHalaon ko
suKHan wo darmiyan mein nahin raha
taDap uThe jise KHaridne ko dil
wo mal hi dukan mein nahin raha
(718) Peoples Rate This