Zist Karna Dar-e-idrak Se Bahar Hai Abhi
zist karna dar-e-idrak se bahar hai abhi
ye sitara mere aflak se bahar hai abhi
DhunDte hain usi nashshe ko sabhi baada-gusar
ek nashsha jo rag-e-tak se bahar hai abhi
ek hi lamhe mein tasKHir karegi use aankh
par wo lamha mere aflak se bahar hai abhi
kuchh mere chaak-e-gareban ko KHabar ho shayad
ek gardish jo mere chaak se bahar hai abhi
bas wahi ashk mera hasil-e-girya hai 'aqil'
jo mere dida-e-namnak se bahar hai abhi
(692) Peoples Rate This