Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d3a9137d32c2c3311c44c042f69e3898, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Husn Har Rang Mein MaKHsus Kashish Rakhta Hai - Anwarul Hasan Anwar Poetry In English - Darsaal

Husn Har Rang Mein MaKHsus Kashish Rakhta Hai

husn har rang mein maKHsus kashish rakhta hai

wo tabassum ki ada ho ki sitam-koshi ho

zindagi kaif-e-musalsal mein guzar jati hai

chashm-e-maKHmur ki masti ho ki mai-noshi ho

tere aane ki masarrat se sahar ho raushan

aur raaton ki tere gham mein siyah-poshi ho

jazbiyyat to ba-har-haal hua karti hai

husn ki bu-qalamuni ho ki KHush-poshi ho

koi aalam ho najat-e-gham-e-dauran ke liye

maut ho nind ho be-hoshi ho

shukr 'anwar' jafaon pe na kyunkar kijiye

kyunki shikwa ho to ehsan-framoshi ho

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Har Rang Mein MaKHsus Kashish Rakhta Hai In English By Famous Poet Anwarul Hasan Anwar. Husn Har Rang Mein MaKHsus Kashish Rakhta Hai is written by Anwarul Hasan Anwar. Read famous Poem Husn Har Rang Mein MaKHsus Kashish Rakhta Hai for youth and Student by Anwarul Hasan Anwar. Free Download Husn Har Rang Mein MaKHsus Kashish Rakhta Hai in PDF.