Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a6e12bbbdade5b29ec28dd165833cfa0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Tere Hijr Mein Yun Umr Basar Hoti Hai - Anwarul Hasan Anwar Poetry In English - Darsaal

Ab Tere Hijr Mein Yun Umr Basar Hoti Hai

ab tere hijr mein yun umr basar hoti hai

sham hoti hai to ro ro ke sahar hoti hai

kyun sar-e-sham umidon ke diye bujhne lage

kitni viran teri rahguzar hoti hai

be-KHayali mein bhi phir un ka KHayal aata hai

wahi taswir mere pesh-e-nazar hoti hai

ye awadh hai ki jahan sham kabhi KHatm nahin

wo banaras hai jahan rose sahar hoti hai

apne barbaad nasheman ko bhula deta hun

jab sulagte hue gulshan pe nazar hoti hai

barq girti hai to KHirman ko jala jati hai

kab use mehnat-e-dahqan ki KHabar hoti hai

hae phulon ke muqaddar pe bhi dil rota hai

zindagi un ki bhi kanTon mein basar hoti hai

aariz-e-ghuncha-o-gul aur dahak uThte hain

ashk-e-shabnam mein bhi tasir-e-sharar hoti hai

main wo mahrum-e-mohabbat hun ki 'anwar' meri

jo dua hai wahi mahrum-e-asar hoti hai

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Tere Hijr Mein Yun Umr Basar Hoti Hai In English By Famous Poet Anwarul Hasan Anwar. Ab Tere Hijr Mein Yun Umr Basar Hoti Hai is written by Anwarul Hasan Anwar. Read famous Poem Ab Tere Hijr Mein Yun Umr Basar Hoti Hai for youth and Student by Anwarul Hasan Anwar. Free Download Ab Tere Hijr Mein Yun Umr Basar Hoti Hai in PDF.