Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ca946f1a02954be09d27212615ba8f23, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaya Na Aab-e-rafta Kabhi Juebar Mein - Anwarul Hasan Anwar Poetry In English - Darsaal

Aaya Na Aab-e-rafta Kabhi Juebar Mein

aaya na aab-e-rafta kabhi juebar mein

kaise qarar aae dil-e-be-qarar mein

hangam-e-subh-e-id mein bhi wo maza kahan

jo lutf mil gaya hai shab-e-intizar mein

bijli giri thi kab ye kisi ko KHabar nahin

ab tak chaman mein aag lagi hai bahaar mein

jab tak bikhar na jae teri zulf-e-ambarin

nikhat kahan se aae nasim-e-bahaar mein

fursat mili hai dil ko nasheman ki fikr se

phir barq kundne lagi har shaKH-sar mein

phir kis ki yaad aai ki 'anwar' aaj-kal

moti piro raha hun gareban ke haar mein

(607) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaya Na Aab-e-rafta Kabhi Juebar Mein In English By Famous Poet Anwarul Hasan Anwar. Aaya Na Aab-e-rafta Kabhi Juebar Mein is written by Anwarul Hasan Anwar. Read famous Poem Aaya Na Aab-e-rafta Kabhi Juebar Mein for youth and Student by Anwarul Hasan Anwar. Free Download Aaya Na Aab-e-rafta Kabhi Juebar Mein in PDF.