Sare Kushton Se Juda Dhang Iztirab-e-dil Ka Hai
sare kushton se juda Dhang iztirab-e-dil ka hai
kyun na ho bismil bhi to kis chulbule qatil ka hai
chhup nahin sakta wo KHun apne dil-e-bismil ka hai
miT nahin sakta jo dhabba daman-e-qatil ka hai
imtihan madd-e-nazar kis manchale bismil ka hai
marka aara jo yun har naz us qatil ka hai
be-ijazat uTh ke sina se lagae aap ko
hausla itna bhi ek arman wale dil ka hai
aap ko yaad aa gain hain kis ki bazm-araiyan
hazrat-e-dil kahiye to qasd aaj kis mahfil ka hai
us taraf machla hua hai wasl mein wo chulbula
is taraf josh-e-iztirab aarzu-e-dil ka hai
wasl ki shab KHun karna aarzu-e-wasl ka
o tamannaon ke dushman kaam ye qatil ka hai
marka-araiyan hain aaj husn-o-ishq ki
samna is jalwa-gah mein dilruba se dil ka hai
apne aadhi raat ko aane ka bais kyun bane
wo kahin qail bhi jazb-e-ulfat-e-kaamil ka hai
maut aai hai mujhe o bahr-e-KHubi wasl mein
mera beDa Dubne wala lab-e-sahil ka hai
sina se sina mila dena to kuchh mushkil nahin
yar mushkil to tere dil se milana dil ka hai
shoKHi-e-qatil mein hai bismil ka rang-e-iztirab
rang bismil ki taDap mein shoKHi-e-qatil ka hai
(722) Peoples Rate This