Khinch Kar Talwar Jab Tark-e-sitamgar Rah Gaya

khinch kar talwar jab tark-e-sitamgar rah gaya

hae re shauq-e-shahadat main taDap kar rah gaya

milte milte rah gai aankh us ki chashm-e-mast se

hote hote lab-ba-lab saghar se saghar rah gaya

aap hi se be-KHabar koi raha wade ki shab

kya KHabar kis ki baghal mein kab wo dilbar rah gaya

le liya main ne kinara shauq mein yun dafatan

shoKHiyan bhula wo KHalwat mein jhijak kar rah gaya

tujh se qatil kah diya tha dil ka ye arman hai

dekh le aaKHir mere sine mein KHanjar rah gaya

muddaton se sina-e-bismil hai jis qatil ka ghar

kya hua dil mein agar aaj us ka KHanjar rah gaya

chal diye hosh-o-KHirad to mai-kashon ke chal diye

rah gaya han mai-kade mein daur-e-saghar rah gaya

saKHt KHajlat hogi dekh ai shauq-e-uryani mujhe

aaj agar ek tar bhi baqi badan par rah gaya

kaun kahta hai makan-e-ghair par tum kyun rah gae

arz to ye hai ki raste mein mera ghar rah gaya

parsai shaiKH-sahab ki dhari rah jaegi

dast-e-saqi mein agar dam-bhar bhi saghar rah gaya

jis ke aane ki KHushi mein kal se warafta the tum

aaj bhi aate hi aate wo sitamgar rah gaya

(737) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khinch Kar Talwar Jab Tark-e-sitamgar Rah Gaya In English By Famous Poet Anwari Jahan Begum Hijab. Khinch Kar Talwar Jab Tark-e-sitamgar Rah Gaya is written by Anwari Jahan Begum Hijab. Read famous Poem Khinch Kar Talwar Jab Tark-e-sitamgar Rah Gaya for youth and Student by Anwari Jahan Begum Hijab. Free Download Khinch Kar Talwar Jab Tark-e-sitamgar Rah Gaya in PDF.