Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona
kahan mumkin hai poshida gham-e-dil ka asar hona
labon ka KHushk ho jaana bhi hai aankhon ka tar hona
ghazab mil kar juda mujh se tera o fitna-gar hona
sitam nalon ka pur-tasir ho kar be-asar hona
jigar mein dard lab par nala-e-wahshat asar hona
ayan karta hai ek rashk-e-pari ka dil mein ghar hona
ghazab nala-kashi ek sahib-e-ismat ke kuche mein
sitam ai dil kisi parda-nashin ka parda-dar hona
wo un ka chupke chupke muskurana KHun rone par
wo mera dil hi dil mein wasif-e-rang-e-asar hona
jo tanha pas manzil dil ko shayan hai mohabbat mein
to aankhon ko hai lazim dida-e-hasrat-nagar hona
qayamat tha sitam tha qahr tha KHalwat mein o zalim
wo sharma kar tera meri baghal mein jalwa-gar hona
sitam ki jaur ki bedad ki kafi shahadat hai
judai mein mera betab be-KHud be-KHabar hona
(842) Peoples Rate This