Duboe Deta Hai KHud-agahi Ka Bar Mujhe

Duboe deta hai KHud-agahi ka bar mujhe

main Dhalta nashsha hun mauj-e-tarab ubhaar mujhe

ai ruh-e-asr mein tera hun tera hissa hun

KHud apna KHwab samajh kar zara sanwar mujhe

bikhar ke sab mein abas intizar hai apna

jala ke KHak kar ai sham-e-intizar mujhe

sada-e-rafta sahi lauT kar main aaunga

faraaz-e-KHwab se ai zindagi pukar mujhe

azab ye hai ki mujhe jaise phul aur bhi hain

salib-e-shaKH se dast-e-KHizan utar mujhe

gharib-e-shahr nawa hi sahi magar yaro

bahut hai apni hi aawaz ka dayar mujhe

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duboe Deta Hai KHud-agahi Ka Bar Mujhe In English By Famous Poet Anwar Siddiqui. Duboe Deta Hai KHud-agahi Ka Bar Mujhe is written by Anwar Siddiqui. Read famous Poem Duboe Deta Hai KHud-agahi Ka Bar Mujhe for youth and Student by Anwar Siddiqui. Free Download Duboe Deta Hai KHud-agahi Ka Bar Mujhe in PDF.