Unki Surat Hamein Aai Thi Pasand Aankhon Se
un ki surat hamein aai thi pasand aankhon se
aur phir ho gai baala-o-buland aankhon se
koi zanjir nahin tar-e-nazar se mazbut
hum ne is chand pe Dali hai kamand aankhon se
Thahr sakti hai kahan us ruKH-e-taban pe nazar
dekh sakta hai use aadmi band aankhon se
hum uThate hain maza talKHi o shirini ka
mai piyale se pilata hai wo qand aankhon se
baat karte ho to hota hai zaban se sadma
dekhte ho to pahunchta hai gazand aankhon se
har mulaqat mein hoti hain hamare mabain
chand baaten lab-e-guftar se chand aankhon se
ishq mein hausla-mandi bhi zaruri hai 'shuur'
dekhiye us ki taraf hausla-mand aankhon se
(1089) Peoples Rate This