TuTa Tilism-e-waqt To Kya Dekhta Hun Main
TuTa tilism-e-waqt to kya dekhta hun main
ab tak usi jagah pe akela khaDa hun main
ye kashmakash alag hai ki kis kashmakash mein hun
aata nahin samajh mein bahut sochta hun main
main ahal to nahin hun ki dekhe koi magar
duniya mujhe bhi dekh tera aaina hun main
akasr ghurur-e-fikr jab utra dimagh se
main dang rah gaya ki ye kya likh gaya hun main
mera kalam wahi nahin hai to phir mujhe
ye zoam kyun na ho ki KHud apna KHuda hun main
mujh se nahin use mere farda se hai umid
manzil se koi aur faqat rasta hun main
kya faeda mujhe jo palaT kar jawab dun
apne liye kahan hun bura ya bhala hun main
ghafil ab aur kya hun kisi se ki umr bhar
aawargi ki god mein sota raha hun main
kya ye jagah hai jis ki tamanna mein aaj tak
din raat shahr shahr bhaTakta phira hun main
mashal-ba-dast ghumte guzri hai ek umr
ab kis ke intizar mein Thahra hua hun main
(943) Peoples Rate This