Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7516063170a455037aff89d65ef991cb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shuur Waqt Pe Dil Ki Dawa Hui Hoti - Anwar Shuoor Poetry In English - Darsaal

Shuur Waqt Pe Dil Ki Dawa Hui Hoti

'shuur' waqt pe dil ki dawa hui hoti

to aaj fikr na hoti shifa hui hoti

murawwatan bhi agar aap aa gae hote

tamaniyyat hamein be-intiha hui hoti

na jaane kitne baras ho gae fughan karte

kabhi to dad-rasi ai KHuda hui hoti

na tha nasib mein dil ki murad bar aana

to kash sabr ki aadat ata hui hoti

hamara haal tumhaari samajh mein aa jata

agar kisi se mohabbat zara hui hoti

hum apne-ap se rahte na be-KHabar to bhala

hamari surat-e-haalat kya hui hoti

'shuur' aap ki aamad se lakh behtar tha

gharib-KHane pe nazil bala hui hoti

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shuur Waqt Pe Dil Ki Dawa Hui Hoti In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Shuur Waqt Pe Dil Ki Dawa Hui Hoti is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Shuur Waqt Pe Dil Ki Dawa Hui Hoti for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Shuur Waqt Pe Dil Ki Dawa Hui Hoti in PDF.