Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_67ae8fbb842e6e1d6d8b423dfe9bde7c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Rahi Raat Un Se Mulaqat Kam - Anwar Shuoor Poetry In English - Darsaal

Rahi Raat Un Se Mulaqat Kam

rahi raat un se mulaqat kam

mudaraat KHasi hui baat kam

teri yaad itna baDa kaam hai

ki malum hote hain din raat kam

kahin dil bahalta nahin shahr mein

na bazar kam hain na baghat kam

mohabbat mein hoti hain insan ko

shikasten ziyaada futuhat kam

sambhaale hue hai ye shoba bhi dil

ab aankhon se hoti hai barsat kam

dimaghon ki parwaz malum hai

sawalat wafir jawabaat kam

bahut son se achchha hun phir bhi 'shuur'

digar-gun nahin mere haalat kam

(857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahi Raat Un Se Mulaqat Kam In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Rahi Raat Un Se Mulaqat Kam is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Rahi Raat Un Se Mulaqat Kam for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Rahi Raat Un Se Mulaqat Kam in PDF.