Piyo Ki Ma-hasal-e-hosh Kis Ne Dekha Hai
piyo ki ma-hasal-e-hosh kis ne dekha hai
tamam wahm-o-guman hai tamam dhoka hai
na kyun ho sahib-e-jam-e-jahan-numa ko hasad
sharab se mujhe apna suragh milta hai
kisi ne KHwab ke reze palak palak chun kar
jo shahkar banaya hai TuT sakta hai
main intizar karunga agar meri fariyaad
abhi sukut-ba-gulshan, sada-ba-sahra hai
yahi sawab hai kya kam meri riyazat ka
ki ek KHalq tere nam se shanasa hai
zahe-nasib ki us ko mera KHayal aaya
magar ye baat haqiqat nahin tamanna hai
gunahgar hun ai madar-e-adam mujh ko
bilak bilak ke tere bazuon mein rona hai
KHamir ek hai sab ka to ai zamin ai man
zaban-o-mazhab-o-qaum-o-watan ye sab kya hai
ghalat sahi magar aasan nahin ki ye nukta
kisi hakim ne apne lahu se likkha hai
payambaron ko utara gaya tha qaumon par
KHuda ne mujh pe magar qaum ko utara hai
(856) Peoples Rate This