Nahin Milte Shuur Aansu Bahate
nahin milte 'shuur' aansu bahate
nazar aate hain hanste-muskuraate
wo ghanTon baiThte hain doston mein
magar dekha akele aate jate
nikal jate hain na-malum jaanib
wo gird-o-pesh se nazren bachate
jise kahte hain log ummul-KHabais
rahe un ke usi se rishte-nate
wo kya jinnat se karte hain baaten
unhen paya gaya hai budbudate
uTha pae na apna bojh bhi wo
bhala kya dusron ke kaam aate
ayan tha be-KHudi se haal un ka
koi kya puchhta wo kya batate
bata lete hain mausam har tarah ka
anadil bostan mein rote gate
'shuur' aap aae hain milne sar-e-sham
hamare pas hoti to pilate
(872) Peoples Rate This