Na Sah Sakunga Gham-e-zat Go Akela Main
na sah sakunga gham-e-zat go akela main
kahan tak aur kisi par karun bharosa main
hunar wo hai ki jiyun chand ban kar aankhon mein
rahun dilon mein qayamat ki tarah barpa main
wo rang rang ke chhinTe paDe ki is ke baad
kabhi na phir nae kapDe pahan ke nikla main
na sirf ye ki zamana hi mujh pe hansta hai
bana hua hun KHud apne liye tamasha main
mujhe sameTne aaya bhi tha koi jis waqt
dayar o dasht o daman mein bikhar raha tha main
ye kis tarah ki mohabbat thi kaisa rishta tha
ki hijr ne na rulaya use na taDpa main
paDa rahun na qafas mein to kya karun aaKHir
ki dekhta hun bahut dur tak dhundlaka main
bahut malul hun ai surat-ashna tujh se
ki tere samne kyun aa gaya sarapa main
yahi nahin ki tujhi ko na thi umid aisi
mujhe bhi ilm nahin tha ki ye karunga main
main KHak hi se bana tha tu kash yun banta
ki us ke hath se girte hi TuT jata main
(806) Peoples Rate This