Mushtaq Ba-dastur Zamana Hai Tumhaara
mushtaq ba-dastur zamana hai tumhaara
aane se baDa khel na aana hai tumhaara
laila ki hikayat bhi hikayat hai tumhaari
shirin ka fasana bhi fasana hai tumhaara
is dil ki KHabar tum se ziyaada kise hogi
bartaw magar be-KHabarana hai tumhaara
tum husn-e-mujassam ho bila shirkat-e-ghaire
na-qabil-e-taqsim KHazana hai tumhaara
dil mein koi aa jae to wapas nahin jata
dushwar yahan se kahin jaana hai tumhaara
tum se mutaassir hain nae hon ki purane
uslub naya hai ki purana hai tumhaara
kyun raushni-o-rang se mamur na ho dil
sunsan sahi aaina-KHana hai tumhaara
samjhaya bujhaya na karo dil ko 'shuur' ab
kam-baKHt ne kahna kabhi mana hai tumhaara
(1227) Peoples Rate This