Main KHak Hun Aab Hun Hawa Hun
main KHak hun aab hun hawa hun
aur aag ki tarah jal raha hun
tah-KHana-e-zehn mein na jaane
kya shai hai jise TaTolta hun
bahrup nahin bhara hai main ne
jaisa bhi hun samne khaDa hun
sunta to sabhi ki hun magar main
karta hun wahi jo chahta hun
achchhon ko to sab hi chahte hain
hai koi ki main bahut bura hun
pata hun use bhi apni jaanib
muD kar jo kisi ko dekhta hun
bachna hai muhaal is maraz mein
jine ke maraz mein mubtala hun
sunta hi na ho koi to kyun main
chillaun fughan karun karahun
auron se to ijtinab tha hi
ab apne wajud se KHafa hun
baqi hain jo chand roz wo bhi
taqdir ke nam likh raha hun
likhta hun har ek baat sun kar
ye baat to main bhi kah chuka hun
(913) Peoples Rate This