Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_453fa78e009f110fc4611004abe03c31, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Ham-kalam Ho Humse Usi Ke Hote Hain - Anwar Shuoor Poetry In English - Darsaal

Jo Ham-kalam Ho Humse Usi Ke Hote Hain

jo ham-kalam ho hum se usi ke hote hain

hum ek waqt mein ek aadmi ke hote hain

koi jahan mein KHushi se guzarna chahe

to be-shumar bahane KHushi ke hote hain

jamaliyat ke parche mein aaTh nau number

faqat shaguftagi-o-dil-kashi ke hote hain

kisi ke sath bhi baiThe hue dikhai den

tasawwuraat mein hum aap hi ke hote hain

'shuur' sirf irade se kuchh nahin hota

amal hai shart irade sabhi ke hote hain

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Ham-kalam Ho Humse Usi Ke Hote Hain In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Jo Ham-kalam Ho Humse Usi Ke Hote Hain is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Jo Ham-kalam Ho Humse Usi Ke Hote Hain for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Jo Ham-kalam Ho Humse Usi Ke Hote Hain in PDF.