Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fd0a50c9ec6d6c46909d57e8d05c16e6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bura Bure Ke Alawa Bhala Bhi Hota Hai - Anwar Shuoor Poetry In English - Darsaal

Bura Bure Ke Alawa Bhala Bhi Hota Hai

bura bure ke alawa bhala bhi hota hai

har aadmi mein koi dusra bhi hota hai

tum apne des ki saughat ho hamare liye

ki husn tohfa-e-ab-o-hawa bhi hota hai

muqable pe kamar-basta hum nahin hote

agar shikast ka KHatra zara bhi hota hai

tumhaare shahr mein hai ji laga hua warna

musafiron ke liye rasta bhi hota hai

wo chehra ek tasawwur bhi hai haqiqat bhi

daricha band bhi hota hai wa bhi hota hai

hum ai 'shuur' akele kabhi nahin hote

hamare sath hamara KHuda bhi hota hai

(1031) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bura Bure Ke Alawa Bhala Bhi Hota Hai In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Bura Bure Ke Alawa Bhala Bhi Hota Hai is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Bura Bure Ke Alawa Bhala Bhi Hota Hai for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Bura Bure Ke Alawa Bhala Bhi Hota Hai in PDF.