Saman To Behad Hai Dil Mein
saman to behad hai dil mein
sab kuchh kar-amad hai dil mein
aap kabhi tashrif to laen
ek aali masnad hai dil mein
ba-e-bismillah kholegi
jo qufl-e-abjad hai dil mein
ishq ki ausat kam nahin hoti
aaj bhi sad-fi-sad hai dil mein
koi bahs na koi hujjat
tu be-radd-o-kad hai dil mein
takta rahta hun sahra se
ek hara gumbad hai dil mein
ishq ho jaise jaan ki bazi
aisi shadd-o-mad hai dil mein
us ghar ki wusat kya kahna
tum jaisa KHush-qad hai dil mein
ye jannat bhi hai dozaKH bhi
nek hai dil mein bad hai dil mein
be-lausi se aae ho sach-much
ya koi maqsad hai dil mein
sar pe zaruri kaam paDe hain
aur aamad aamad hai dil mein
hum jate hain fatiha paDhne
purkhon ka mashhad hai dil mein
kyun khinchte hain 'shuur' aap aaKHir
kya hum se kuchh kad hai dil mein
(1990) Peoples Rate This