Izafi Zaruraton Ke Liye Ek Nazm
har aadmi ki qismat mein
ek na ek saza hoti hai
mere liye har bar
tum se dur rahne ki saza muntaKHab ki jaegi
na-insafi ke pesh-e-nazar
saza ka kaam kisi munsif par nahin chhoDa jaega
lekin is ke bawajud
wo tauhin ka wo notice nahin jari kar sakenge
jis mein wahi honge muddai
wahi honge munsif
hamari shahriyat ko KHam kar diya gaya hai
achchha hua ki hamare dilon ko
aabgine tarashne walon par nahin chhoDa gaya
ek aawara-manush ne
mujhe chaak chalana
aur miTTi mein dil rakhna sikhaya
main har raat apne dil ko
miTTi mein milata aur nai nai tarah gundhta hun
har subh us mulk ke liye
ek naya KHwab Dhaalta hun
jis ke liye jughrafie ki tariKH mein
koi jagah nahin hogi
abhi aasmanon par rahne walon ko
mere jaraem ka ilm nahin hua
warna wo mere sar par
ek aadh aasman zarur gira dete
ehtiyatan
main ne
tumhein in sari baaton
aur apne KHwabon se dur rakha hai
isi liye ab tak
kisi musawwir ya mujassama-saz ne
tumhein koi shakl nahin di
main ne tumhein un KHayalon se bhi dur rakha hai
jin tak koi shaer rasai hasil kar sake
yahan tak ki
main ne tumhein apni rasai se bhi dur rakha hai
taki tumhaare wo libas aaluda na hon
jinhen pahan kar
tum aaine ke samne nahin jati hogi
jinhen pahan kar
tum bagh ki sair
aur bazar jaana bhi mauquf kar deti hogi
main ne
apne liye saza tajwiz karne ka iKHtiyar
kisi ko nahin diya
tumhein bhi nahin
warna tum mere liye qurbat tajwiz kar sakti thin
(930) Peoples Rate This