Ek Mansube Mein Dar-pesh Dushwariyan
main raushni mein itni ghalatiyan karta hun
jitni log andhere mein nahin karte honge
main in dinon ek mansuba tayyar karne mein masruf hun
har tarah ki nakaamiyon se pak mansuba
taki jaise hi mauqa mile
mein KHud ko qatl kar dun
mujhe aise chaurahe ka bhi intiKHab karna hai
jis ke ain-wast mein
lash ko is tarah laTkana mumkin ho
ki us ka nazzara kiya ja sake chaaron aur se
sangsari ke hamiyon ko KHususi dawat di jaegi
KHas taur par qaribi doston ko
tum bhi patthar hi barsana
meri lash bardasht nahin kar sakegi
phul ki zarb
lekin main kya karun
main raushni mein bhi itni ghalatiyan karta hun
jitni log andhere mein nahin karte honge
(800) Peoples Rate This