Baad-az-marg
main mar chuka hun
aur mujhe pata bhi nahin
ab kya karoge tum
nahlaoge mujhe
aur puchhoge bhi nahin
main nahana chahta hun ya nahin
ye bhi nahin dekhoge
pani garm hai ya nahin
bhul jaoge ki achchha nahin lagta
mujhe ThanDa pani
nahane ke liye na pine ke liye
phir libas tabdil karoge mera
aur ye bhi nahin puchhoge
kya pahanna chahta hun
kaun sa rang patlun qamiz ya kuchh aur
mujh se puchhe baghair
tum wo sab kuchh karoge
jo main ne apne sath kabhi nahin hone diya
ek do bar nahin saikaDon bar
main ne KHud ko intihai be-bas mahsus kiya hai
lanat ho mujh par
maut hai bebasi ki intiha
ye baat mujh par kab khuli hai
mere jism se jald-az-jald
jaan chhuDa ke
tum lauToge
ya shayad wahin se chale jaoge
shayad kuchh der baaten karoge
mere bare mein kam
karobar ke bare mein
kisi meeting ke bare mein
ya sports ke bare mein
ya kisi adakara ke nae scandal ke bare mein
shayad kuchh khaoge ya shayad kuchh piyoge
aur ek ek kar ke ruKHsat ho jaoge
darwaze par ruke baghair
ye dekhe baghair
ki main tumhein ruKHsat karne aa raha hun
shukriya ada karna chahta hun main tumhaara
tamam masrufiyat ke bawajud
itna waqt nikalne par
(830) Peoples Rate This