Wo Parde Se Nikal Kar Samne Jab Be-hijab Aaya
wo parde se nikal kar samne jab be-hijab aaya
jahan-e-ishq mein yak-bargi ek inqalab aaya
zamin ke zarre zarre se numayan ho gae jalwe
sar-e-gulzar wo rashk-e-qamar jab be-hijab aaya
mukarrar zindagani ka maza ho jaega hasil
dam-e-aKHir bhi qasid le ke gur KHat ka jawab aaya
muqaddar se mere donon ke donon bewafa nikle
na umr-e-bewafa palTi na phir ja kar shabab aaya
wafur-e-sharm se us aaftab-e-husn ke aage
jahan ka har hasin Dale hue munh par naqab aaya
dil-e-betab-o-taqat ko tasalli kuchh hui hasil
payam us but ke aane ka jo waqt-e-iztirab aaya
ajab pur-kaif aalam hai zamana mast hai 'anwar'
ki un ke chaudhwin man mein nazar rang-e-sharab aaya
(883) Peoples Rate This