Rangin Bana Ke Daman-e-zaKHm-e-jigar Ko Main
rangin bana ke daman-e-zaKHm-e-jigar ko main
gulzar kar raha hun faza-e-nazar ko main
gata hun saz-e-dil pe tarane sahar ko main
bedar kar raha hun kisi fitna-gar ko main
mulzim nazar hai ya sar-e-shorida ka qusur
kaba samajh raha hun tere sang-e-dar ko main
chun kar gul-e-niyaz qarib-e-bisat-e-dil
bagh-e-iram banata hun dagh-e-jigar ko main
wahshi bana hua hai meri manta nahin
allah kya karun dil-e-shorida-sar ko main
ai husn-e-dil-nawaz meri himmaten to dekh
dil de ke mul leta hun dard-e-jigar ko main
sang-e-dar-e-habib ko kaba bana na lun
jalwa samajh ke husn-e-fareb-e-nazar ko main
zahid namaz-e-ishq ki tajdid ke liye
phir us ke naqsh-e-pa pe jhukata hun sar ko main
meri tarah mujhe wo nazar aaen be-qarar
karta hun apni aah mein paida asar ko main
shayad niyaz-mand ko hasil niyaz ho
hasrat se tak raha hun teri rahguzar ko main
karta hun zabt-e-gham ki na khul jae raaz-e-ishq
dil mein chhupa ke rakhta hun tir-e-nazar ko main
'anwar' gain na dil ki mere bad-gumaniyan
rahzan samajh raha hun har ek rahbar ko main
(800) Peoples Rate This