Tu Bhi Kar Ghaur Is Kahani Par
tu bhi kar ghaur is kahani par
jo likhi ja rahi hai pani par
ye zamin zar ugaegi ek din
rakh yaqin apni kalba-rani par
us ki be-mehwari pe ghaur na kar
rahm kha us ki be-zabani par
garche mushkil talash thi us ki
ghar tera mil gaya nishani par
un se mani kashid kar apne
naqsh ubhre hain jo bhi pani par
qaem 'anwar-sadid' ne rakkha
irtikaz apni zindagani par
(732) Peoples Rate This