Siyahiyon Ka Nagar Raushni Se AT Jae
siyahiyon ka nagar raushni se aT jae
bahut tawil hai ya-rab ye raat kaT jae
zamin ka rizq hun lekin nazar falak par hai
kaho falak se mere raste se haT jae
tamam raat sitara yahi pukarta tha
hawa ke sath chalo baadban na phaT jae
meri ghazal ka hai 'anwar-sadid' ye hasil
mata-e-dard mere doston mein baT jae
(1026) Peoples Rate This