Safina Le Gae Maujon Ki Garm-joshi Mein

safina le gae maujon ki garm-joshi mein

hazimat aai nazar jab kinara-koshi mein

nasha chaDha to zaban par na iKHtiyar raha

wo munkashif hue KHud apni baada-noshi mein

bana liya use sani phir apni fitrat ka

sukun jo milne laga un ko zahr-noshi mein

qubul rabb-e-karim-o-rahim ne kar li

meri zaban pe jo aai dua KHamoshi mein

khuli zaban to zarf un ka ho gaya zahir

hazar bhed chhupa rakkhe the KHamoshi mein

pasand ki na zamane ne sadgi meri

bharam rakkha hai KHuda ne safed-poshi mein

zad-e-itab mein un ke jo aa gae 'anwar'

na jaane kah gae kya kya wo garm-joshi mein

(743) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safina Le Gae Maujon Ki Garm-joshi Mein In English By Famous Poet Anwar Sadeed. Safina Le Gae Maujon Ki Garm-joshi Mein is written by Anwar Sadeed. Read famous Poem Safina Le Gae Maujon Ki Garm-joshi Mein for youth and Student by Anwar Sadeed. Free Download Safina Le Gae Maujon Ki Garm-joshi Mein in PDF.