Ahd-e-hazir Ek Machine Aur Us Ka Karinda Hun Main
ahd-e-hazir ek machine aur us ka karinda hun main
reza reza ruh meri hai magar zinda hun main
main hun wo lamha jo muTThi mein sama sakta nahin
pal mein hun imroz-o-mazi pal mein aainda hun main
wo jo mujh ko phenk aae bheDiyon ke samne
kya gila-shikwa ki un se aap sharminda hun main
mere lafzon mein agar tab-o-tawanai nahin
ai KHuda kyun dahr mein tera numainda hun main
main jo kahta hun samajhta hi nahin koi use
jaise malbe mein dabi basti ka bashinda hun main
mere chehre par munaqqash is tarah tariKH hai
jaise ek kohna ajaib ghar ka bashinda hun main
KHak hun lekin sarapa nur hai mera wajud
is zamin par chand suraj ka numainda hun main
is jahan mein main hi masjud-e-malaik tha 'sadid'
is jahan mein aaj ke insan se sharminda hun main
(700) Peoples Rate This