TalKHaba-e-gham KHanda-jabin Ho Ke Piye Ja
talKHaba-e-gham KHanda-jabin ho ke piye ja
mauhum umidon ke sahaaron pe jiye ja
mayus na ho be-ruKHi-e-chashm-e-jahan se
shaista-e-ehsas koi kaam kiye ja
shikwa na kar is daur-e-junun-zad ka koi
taqdir-e-KHirad-soz ko ilzam diye ja
auron ko gareban ki tujhe fikr hi kyun ho
tu apni hi sad-chaaki-e-daman ko siye ja
har lamha taghayyur pe nigahon ko jamae
tu jaiza-e-gardish-e-ayyam liye ja
is jabr-e-mashiyyat ko to sahna hi paDega
be-kaif sahi un ke ishaaron pe jiye ja
saqi ki nazar se koi nisbat hai to 'anwar'
pine ki ada ye bhi hai be-jam piye ja
(977) Peoples Rate This