Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7ccda722afee579a5660f9e50e408c29, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shab-e-firaq Ki Zulmat Hai Na-gawar Mujhe - Anwar Sabri Poetry In English - Darsaal

Shab-e-firaq Ki Zulmat Hai Na-gawar Mujhe

shab-e-firaq ki zulmat hai na-gawar mujhe

naqab uTha ki sahar ka hai intizar mujhe

qasam hai lala o gul ke udas chehron ki

fareb de na saka mausam-e-bahaar mujhe

ba-surat-e-dil-e-pur-dagh un ki mahfil se

ata hui hai mohabbat ki yaadgar mujhe

mazaq kal jo uDati thi gham ke maron ka

wo aankh kyun nazar aati hai sogwar mujhe

jafa o jaur-e-musalsal wafa o zabt-e-alam

wo iKHtiyar tumhein hai ye iKHtiyar mujhe

(2374) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-firaq Ki Zulmat Hai Na-gawar Mujhe In English By Famous Poet Anwar Sabri. Shab-e-firaq Ki Zulmat Hai Na-gawar Mujhe is written by Anwar Sabri. Read famous Poem Shab-e-firaq Ki Zulmat Hai Na-gawar Mujhe for youth and Student by Anwar Sabri. Free Download Shab-e-firaq Ki Zulmat Hai Na-gawar Mujhe in PDF.