Muddaton Se Koi Paigham Nahin Aata Hai
muddaton se koi paigham nahin aata hai
jazba-e-dil bhi mere kaam nahin aata hai
hae andaz-e-taghaful ki dam-e-zikr-e-wafa
yaad un ko bhi mera nam nahin aata hai
uf wo masum o haya-rez nigahen jin par
qatl ke baad bhi ilzam nahin aata hai
kaam kuchh meri tabahi ke siwa duniya mein
tujh ko ai gardish-e-ayyam nahin aata hai
mehrban dida-e-saqi ko usi par dekha
jis ko tarz-e-talab-e-jam nahin aata hai
ab hai ye aalam-e-mayus-e-mohabbat 'anwar'
un ke jalwon se bhi aaram nahin aata hai
(1104) Peoples Rate This