Ata-e-gham Pe Bhi KHush Hun Meri KHushi Kya Hai
ata-e-gham pe bhi KHush hun meri KHushi kya hai
raza talab jo nahin hai wo bandagi kya hai
teri nigah ki naqqashi-e-hasin ke siwa
tu hi bata mera mafhum-e-zindagi kya hai
sitam-shiar jafa-ashna wafa-dushman
ye nang-e-azmat-e-adam hai aadmi kya hai
tera tasawwur-e-rangin agar na ho shamil
bahaar-e-gulshan-e-imkan mein dilkashi kya hai
zamana aap ka kahta hai jis ko aks-e-jamil
nazar uTha ke to dekho ye chandni kya hai
tamam umr qafas mein guzar di hum ne
KHabar nahin ki nasheman ki zindagi kya hai
(949) Peoples Rate This