Ho Sakta Hai Koi Hamein Bhi DhunDe In Banjaron Mein
ho sakta hai koi hamein bhi DhunDe in banjaron mein
jaane kis ki khoj mein kab se phirte hain bazaron mein
umr ganwai khoj mein jis ki DhunD phire gulzaron mein
qismat ki ye KHubi dekho aan mila viranon mein
koi nahin jo tere aage husn ka paikar ban kar aae
shardha ki kaliyan muskaen qudrat ki saughaton mein
aap ki KHushiyon ki sarhad se dur hamare Dere hain
DhunDenge kuchh log hamein bhi aap ke in afsanon mein
aan mile to bhul ka jadu hum donon par tari hai
kaun batae kal kya guzri furqat ki barsaton mein
marne ki KHatir jina hi jine ka dastur nahin
nam hamara aage hoga duniya ke nakaron mein
(896) Peoples Rate This