Wada-e-sham-e-farda Pe Ai Dil Mujhe Gar Yaqin Hi Na Aae To Main Kya Karun
wada-e-sham-e-farda pe ai dil mujhe gar yaqin hi na aae to main kya karun
un ki jhuTi tasalli ke tufan mein nabz-e-dil Dub jae to main kya karun
main ne mangi thi ye masjidon mein dua main jise chahta hun wo mujh ko mile
jo mera farz tha main ne pura kiya ab KHuda bhul jae to main kya karun
sare jhagDe agar mere jine ke hain to gala ghonT do main bhi be-zar hun
maut ab tak to daman bachati rahi tu bhi daman bachae to main kya karun
tu na samjhega hargiz mere naseha meri mai-noshiyan meri badmastiyan
mujh pe tohmat na rakh main sharabi nahin wo nazar se pilae to main kya karun
tum mujhe bewafai ke tane na do mere mahbub main bewafa to nahin
tum bhi maghrur ho main bhi KHuddar hun aankh KHud hi bhar aae to main kya karun
(1099) Peoples Rate This