RuKH Se Parda UTha De Zara Saqiya Bas Abhi Rang-e-mahfil Badal Jaega
ruKH se parda uTha de zara saqiya bas abhi rang-e-mahfil badal jaega
hai jo behosh wo hosh mein aaega girne wala hai jo wo sambhal jaega
log samjhe the ye inqilab aate hi nazm-e-kohna chaman ka badal jaega
ye KHabar kis ko thi aatish-e-gul se hi tinka tinka nasheman ka jal jaega
tum tasalli na do sirf baiThe raho waqt kuchh mere marne ka Tal jaega
kya ye kam hai masiha ke rahne hi se maut ka bhi irada badal jaega
tir ki jaan hai dil dil ki jaan tir hai tir ko yun na khincho kaha man lo
tir khincha to dil bhi nikal aaega dil jo nikla to dam bhi nikal jaega
ek muddat hui us ko roe hue ek arsa hua muskurae hue
zabt-e-gham ka ab aur us se wada na ho warna bimar ka dam nikal jaega
apne parde ka rakhna hai gar kuchh bharam samne aana jaana munasib nahin
ek wahshi se ye chheD achchhi nahin kya karoge agar ye machal jaega
apne wade ka ehsas hai to magar dekh kar tum ko aansu umanD aae hain
aur agar tum ko ye bhi gawara nahin abr barse baghair ab nikal jaega
mera daman to jal hi chuka hai magar aanch tum par bhi aae gawara nahin
mere aansu na ponchho KHuda ke liye warna daman tumhaara bhi jal jaega
dil mein taza gham-e-ashiyan hai abhi mere nalon se barham na sayyaad ho
dhire dhire ye aansu bhi tham jaenge rafta rafta ye dil bhi bahal jaega
meri fariyaad se wo taDap jaenge mere dil ko malal is ka hoga magar
kya ye kam hai ki wo be-naqab aaenge marne wale ka arman nikal jaega
phul kuchh is tarah toD de baghban shaKH hilne na pae na aawaz ho
warna gulshan pe raunaq na phir aaegi dil agar har kisi ka dahal jaega
us ke hansne mein rone ka andaz hai KHak uDane mein fariyaad ka raaz hai
us ko chheDo na 'anwar' KHuda ke liye warna bimar ka dam nikal jaega
(2857) Peoples Rate This