Kisi Surat Bhi Nind Aati Nahin Main Kaise So Jaun

kisi surat bhi nind aati nahin main kaise so jaun

koi shai dil ko bahlati nahin main kaise so jaun

akela pa ke mujh ko yaad un ki aa to jati hai

magar phir lauT kar jati nahin main kaise so jaun

jo KHwabon mein mere aa kar tasalli mujh ko deti thi

wo surat ab nazar aati nahin main kaise so jaun

tumhin to ho shab-e-gham mein jo mera sath dete ho

sitaro tum ko nind aati nahin main kaise so jaun

jise apna samajhna tha wo aankh ab apni dushman hai

ki ye rone se baz aati nahin main kaise so jaun

teri taswir jo TuTe hue dil ka sahaara thi

nazar wo saf ab aati nahin main kaise so jaun

ghaTa jo dil se uThti hai mizha tak aa to jati hai

magar aankh us ko barsati nahin main kaise so jaun

sitare ye KHabar lae ki ab wo bhi pareshan hain

suna hai un ko nind aati nahin main kaise so jaun

(1176) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Surat Bhi Nind Aati Nahin Main Kaise So Jaun In English By Famous Poet Anwar Mirzapuri. Kisi Surat Bhi Nind Aati Nahin Main Kaise So Jaun is written by Anwar Mirzapuri. Read famous Poem Kisi Surat Bhi Nind Aati Nahin Main Kaise So Jaun for youth and Student by Anwar Mirzapuri. Free Download Kisi Surat Bhi Nind Aati Nahin Main Kaise So Jaun in PDF.