Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d816c7d5b2c3d861d2f8237f2e5bf17a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Zamin Ke Muqaddar Sanwar Jaenge - Anwar Minai Poetry In English - Darsaal

Jab Zamin Ke Muqaddar Sanwar Jaenge

jab zamin ke muqaddar sanwar jaenge

aasman se farishte utar aaenge

kaise phailenge wo log ufuq-ta-ufuq

apne andar simaT kar jo rah jaenge

chandni mauj-dar-mauj lahraegi

aks taron ke pani se tharraenge

barish-e-sang karte chale jaen wo

hum lahu ro ke bhi phul barsaenge

kanch ka jism le kar kisi shahr mein

wo agar jaenge bikhar jaenge

jin mein tanwir-e-ehsas jagi na ho

zehn aise khanDar hi to kahlaenge

ret uDegi jo sahra-e-iKHlas mein

aur kya apni muTThi mein hum laenge

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Zamin Ke Muqaddar Sanwar Jaenge In English By Famous Poet Anwar Minai. Jab Zamin Ke Muqaddar Sanwar Jaenge is written by Anwar Minai. Read famous Poem Jab Zamin Ke Muqaddar Sanwar Jaenge for youth and Student by Anwar Minai. Free Download Jab Zamin Ke Muqaddar Sanwar Jaenge in PDF.