Gum Kar Den Ek Zara Tujhe KHwabon Ke Shahr Mein
gum kar den ek zara tujhe KHwabon ke shahr mein
nukte kuchh aise DhunD kitabon ke shahr mein
diwangi ki aisi milegi kahan misal
kanTe KHaridta hun gulabon ke shahr mein
aaine bolte hain to ye bhi bataenge
kya be-hijab hun main hijabon ke shahr mein
nakaamiyon ki aag mein tapti hain KHwahishen
jalti hai meri ruh azabon ke shahr mein
is ahd-e-na-shanas mein iKHlas ki talab
gauhar ki justuju hai hababon ke shahr mein
har manzar-e-hasin pe hai ek chadar-e-ghubar
kya main bhaTak raha hun sarabon ke shahr mein
'anwar' hamein to aaj bhi fikr-o-nigah ke
bosida ghar mile hain nisabon ke shahr mein
(698) Peoples Rate This