Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_758e18cdde8f1345edcf550f4f894e04, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaj Mujhe Kuchh Log Mile Hain Pagal Se - Anwar Minai Poetry In English - Darsaal

Aaj Mujhe Kuchh Log Mile Hain Pagal Se

aaj mujhe kuchh log mile hain pagal se

shahr mein wahshi dar aae kya jangal se

sare masail la-yanhal se lagte hain

niklun kaise soch ki gahri daldal se

barf-numa si taron ki chanchal kirnen

chhan kar niklen raat ke kale aanchal se

zehn se yun hai fikr-o-nazar ka ab rishta

panghaT ko ek rabt ho jaise chhagal se

yaad ki KHushbu dil ke nagar mein phailegi

gham ke sae lagte hain ab shital se

jism-o-jaan par sannaTon ka pahra ho

baz aaya main ab duniya ki halchal se

tanhai ka zahr bhala kya phailega

chhae ho tum ehsas pe mere baadal se

(863) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Mujhe Kuchh Log Mile Hain Pagal Se In English By Famous Poet Anwar Minai. Aaj Mujhe Kuchh Log Mile Hain Pagal Se is written by Anwar Minai. Read famous Poem Aaj Mujhe Kuchh Log Mile Hain Pagal Se for youth and Student by Anwar Minai. Free Download Aaj Mujhe Kuchh Log Mile Hain Pagal Se in PDF.