Meri Pahli Nazm
kya bachche suljhe hote hain
jab gend se uljhe hote hain
wo is liye mujh ko bhate hain
din bite yaad dilate hain
wo kitne hasin basere the
jab dur ghamon se Dere the
jo khel mein hail hota tha
nafrin ke qabil hota tha
har ek se ulajh kar rah jaana
ruk ruk ke bahut kuchh kah jaana
hans dena baaton baaton par
barsat ki kali raaton par
baadal ki subuk-raftari par
bulbul ki aah-o-zari par
aur shama ki lau ki garmi par
parwanon ki haT-dharmi par
duniya ke dhande kya jaanen
aazad ye phande kya jaanen
masum faza mein rahte the
hum to ye samajh hi baiThe the
KHushiyon ka alam anjam nahin
duniya mein KHizan ka nam nahin
mahaul ne khaya phir palTa
nagah taghayyur aa jhapTa
aur us ki karam-farmai se
haalat ki ek angDai se
aa pahunche aise beDon mein
jo le gae hamein thapeDon mein
bachpan ke suhane sae the
sae mein zara sustae the
wo daur-e-muqaddas bit gaya
ye waqt hi bazi jit gaya
ab waise mere haalat nahin
wo chiz nahin wo baat nahin
jine ka safar ab dubhar hai
har gam pe sau sau Thokar hai
wo dil jo ruh-e-qarina tha
aashaon ka ek KHazina tha
is dil mein nihan ab nale hain
taron se ziyaada chhaale hain
jo hansna hansana hota hai
rone ko chhupana hota hai
koi ghuncha dil mein khilta hai
thoDa sa sukun jab milta hai
gham tez qadam phir bharta hai
KHushiyon ka taaqub karta hai
main sochta rahta hun yunhi
aaKHir ye tafawut kya mani
ye soch ajab taDpati hai
aaankhon mein nami bhar jati hai
phir mujh se dil ye kahta hai
mazi ko tu rota rahta hai
kuchh aahen dabi si rahne de
kuchh aansu baqi rahne de
ye haal bhi mazi hona hai
is par bhi tujhe kuchh rona hai
(2831) Peoples Rate This