Use To Pas-e-KHulus-e-wafa Zara Bhi Nahin
use to pas-e-KHulus-e-wafa zara bhi nahin
magar ye aas ka rishta ki TuTta bhi nahin
ghire hue hain KHamoshi ki barf mein kab se
kisi ke pas koi tesha-e-sada bhi nahin
maal-e-ghunch-o-gul hai meri nigahon mein
mujhe tabassum-e-kazib ka hausla bhi nahin
tulu-e-subh-e-azal se main DhunDhta tha jise
mila to hai pa meri samt dekhta bhi nahin
meri sada se bhi raftar tez thi us ki
mujhe gila bhi nahin hai jo wo ruka bhi nahin
bikhar gai hai nigahon ki raushni warna
nazar na aae wo itna to fasla bhi nahin
suna hai aaj ka mauzu-e-majlis-e-tanqid
wo sher hai ki abhi main ne jo kaha bhi nahin
simaT rahe hain sitaron ke fasle 'anwar'
paDosiyon ko magar koi jaanta bhi nahin
(3030) Peoples Rate This