Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e4aa993443069b1f0d4fd31c5eb64f6d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sochna Ruh Mein KanTe Se Bichhae Rakhna - Anwar Masood Poetry In English - Darsaal

Sochna Ruh Mein KanTe Se Bichhae Rakhna

sochna ruh mein kanTe se bichhae rakhna

ye bhi kya sans ki talwar banae rakhna

ab to ye rasm hai KHushbu ke qaside paDhna

phul gul-dan mein kaghaz ke sajae rakhna

tirgi TuT paDe bhi to bura mat kahiyo

ho sake gar to charaghon ko jalae rakhna

rah mein bhiD bhi paDti hai abhi se sun lo

hath se hath mila hai to milae rakhna

kitna aasan hai taid ki KHu kar lena

kitna dushwar hai apni koi rae rakhna

koi taKHliq bhi takmil na pae meri

nazm likh lun to mujhe nam na aae rakhna

apni parchhain se munh moD na lena 'anwar'

tum use aaj bhi baaton mein lagae rakhna

(2628) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sochna Ruh Mein KanTe Se Bichhae Rakhna In English By Famous Poet Anwar Masood. Sochna Ruh Mein KanTe Se Bichhae Rakhna is written by Anwar Masood. Read famous Poem Sochna Ruh Mein KanTe Se Bichhae Rakhna for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Sochna Ruh Mein KanTe Se Bichhae Rakhna in PDF.