PaDhne Bhi Na Pae The Ki Wo MiT Bhi Gai Thi
paDhne bhi na pae the ki wo miT bhi gai thi
bijli ne ghaTaon pe jo tahrir likhi thi
chup sadh ke baiThe the sabhi log wahan par
parde pe jo taswir thi kuchh bol rahi thi
lahraate hue aae the wo amn ka parcham
parcham ko uThae hue neze ki ani thi
Dube hue taron pe main kya ashk bahata
chaDhte hue suraj se meri aankh laDi thi
is waqt wahan kaun dhuan dekhne jae
aKHbar mein paDh lenge kahan aag lagi thi
shabnam ki tarawish se bhi dukhta tha dil-e-zar
ghanghor ghaTaon ko barasne ki paDi thi
palkon ke sitare bhi uDa le gai 'anwar'
wo dard ki aandhi ki sar-e-sham chali thi
(2412) Peoples Rate This