Meri Qismat Ki Wo Ab Hain Mere Gham-KHwaron Mein
meri qismat ki wo ab hain mere gham-KHwaron mein
kal jo shamil the tere hashiya-bardaron mein
zahr ijad karo aur ye paiham socho
zindagi hai ki nahin dusre sayyaron mein
kitne aansu hain ki palkon pe nahin aa sakte
kitni KHabren hain jo chhapti nahin aKHbaron mein
ab to dariya ki tabiat bhi hai girdab-pasand
aur wo pahli si sakat bhi nahin patwaron mein
aap ke qasr ki jaanib koi dekhe tauba
jurm sabit ho to chun dijiye diwaron mein
aaj tahzib ke tewar bhi hain caron jaise
dafan ho jae na kal apne hi ambaron mein
apni aawaz ko bhi kan taraste hain mere
jins-e-guftar liye phirta hun bazaron mein
tohmaten hazrat-e-insan pe na dhariye 'anwar'
dushmani hai ki chali aati hai talwaron mein
(2341) Peoples Rate This