Main Jurm-e-KHamoshi Ki Safai Nahin Deta
main jurm-e-KHamoshi ki safai nahin deta
zalim use kahiye jo duhai nahin deta
kahta hai ki aawaz yahin chhoD ke jao
main warna tumhein izn-e-rihai nahin deta
charke bhi lage jate hain diwar-e-badan par
aur dast-e-sitam-gar bhi dikhai nahin deta
aankhen bhi hain rasta bhi charaghon ki ziya bhi
sab kuchh hai magar kuchh bhi sujhai nahin deta
ab apni zamin chand ke manind hai 'anwar'
bolen to kisi ko bhi sunai nahin deta
(2690) Peoples Rate This