Main Dekh Bhi Na Saka Mere Gird Kya Gaya Tha
main dekh bhi na saka mere gird kya gaya tha
ki jis maqam pe main tha wahan ujala tha
durust hai ki wo jangal ki aag thi lekin
wahin qarib hi dariya bhi ek guzarta tha
tum aa gae to chamakne lagi hain diwaren
abhi abhi to yahan par baDa andhera tha
labon pe KHair tabassum bikhar bikhar hi gaya
ye aur baat ki hansne ko dil tarasta tha
suna hai log bahut se mile the raste mein
meri nazar se to bas ek shaKHs guzra tha
ulajh paDi thi muqaddar se aarzu meri
dam-e-firaq use rokna bhi chaha tha
mahak raha hai chaman ki tarah wo aaina
ki jis mein tu ne kabhi apna rup dekha tha
ghaTa uThi hai to phir yaad aa gaya 'anwar'
ajib shaKHs tha akasr udas rahta tha
(2500) Peoples Rate This